Madhosh ho gaya hn kisi k shabab se,
Kuch kam nhi uski jawani sharab se.!
Un pr pari thi ahl-e-zamana ki jb nazar,
Hairan ho gaye wo mere intikhab se.!
Aik din jo gulistan se unka guzar hua,
Sharma gaya gulab b mere gulab se..!
Ae chand teri roshni hai kiun bjhi bjhi,
Kya tu bhi jal gaya hai mere mahtaab se.....!
0 comments:
Post a Comment